camera apps

Top 5 Camera App for Android – SR Editing Zone

Best Camera app

Dosto aksar apne dekha hoga bahut se log apne low budget mobile se bhi bahut ache photos and videos capture kar lete hai, wahi hamre normal budget ya phir kahu jis phone ko acha khasa paisa de kar kharida hai usse bhi hame utne ache results nhi mil pate hai, jitna hamne expect kiya hota hai evan kbhi kbhi to ham naya phone late hai aur camera quality check karte hai aur results dekh kar lagta hai syd camere ki quality utni achi nhi hai jitna advertisement, ya box vaigira par likha hai, lekin aisa nhi hai dosto photos and video ache na aane ki ek badi wajah hamare camera application bhi ho sakta hai, kyu ki hame isme focus, setter speed aur iso vaigira set karne ke options nhi milte hai, aur jadatar ham log auto mode me hi application ka use karte hai, to aise me hame milne wale results itne khas nhi hote hai, so dosto in sabhi problem ko dekhte hue main apko 1 nhi 3 aise camere application batuga jinka use kar ke aap perfect photos and videos capture kar sakte hai, aur han halhi me Adobe company ne bhi apni camera application launch ki hai video me main aaj uski bhi baat kruga ki kya hai khas iss application me, video kafi jada helpful rahega khas taur par un logo ke liye jo photography ka shaukh to rakhte hai lekin mehnga camere ya Dslr buy nhi kar paa rahe hai so please apse ek request hai video ko jada se jada like kare aur channel par naye hai to subscribe kar ke bell icon press karna na bhule, to chaliye shuru karte hai,

Mcpro24 Fps –

dosto ye camera application bahut hi professional level ki hai aur jadatar celebrities issi camera application ka use karte hai, mobile se videos shoot karte time vaise to ye application play store par available hai lekin iske liye apko lagbhag 1600 rupaye tak kharch karne pad sakte hai kyu ki isse aap purchase kiye bina use nhi kar sakte, vaise mere hote hue apko kharch karne ki jarurat nhi hogi main apko batuga kaise aur kaha ye application apko mil jayegi, chaliye ab application ke bare me thoda bahut jaan lete hai jisse apko use karne me aasani ho,
Application ke anadar bahut sare tools and options diye hai jo hame ek normal camera app me nhi milte hai, yaha apko manual aur auto mode dono hi diye gye hai, me apko recommend kruga aap manual mode me hi video shoot kare, sath hi isme iso ko apne subject aur lighting condition ke hisab se set kar sakte hai aur sitter speed ko bhi aap adjust kar sakte hai, iske sath chhed chhadh tbhi kare jab apka subject running me ho ya kbhi kbhi ham tv ya pc monitor ki screen ka video banate hai to apko iss tarah ki lining dikhti hai, aise me aap isko set kar ke fix kar sakte hai, iso sitter speed set karne ke baad yaha se aap lock bhi kar sakte hai, in dono button ka use karte hue aap check kar sakte hai kaun sa part over exposed ho raha hai jaha red hoga wo part bahut jada expose ho raha hoga, dosto yaha apko white balance set karne ka option bhi diya hai jisme profiles bhi di gyi hai so inka use kar ke bhi app white balance adjust kar sakte hai aur manually bhi aap kar ke dekh sakte hai, main apko suggest kruga aap video ko flat mode yanhi bina white balance set kiye hue hi capture kare aur editing me hi isko fix kare, agar aap capture ke time hi isko adjust kar lenge so aise me aap editing me isko jada kuch fix nhi kar payege, ab iski kuch settings ki baat kar lete hai yaha setting icon par click karne par apko, use GPU par yes kar dena hai, preview mode me apko agar apke phone ka processor aur ram utni achi nhi hai to yaha kam hi rakhna hai, iske size se apke output result par koi fark nhi padega so main recommend kruga isko kam hi rakhe jisse apko acha output mil sake, han yaha se grid on kar sakte hai aap jisse aap 3rd rule of composition ka use karte hue ache shoots le sake, now isko close karte hai, aur iss video wale icon par click karte hai, yaha apko resolution and fps select karna hoga yaha app 24 fps ya 30 fps par hi select kare aur ek best result ke liye aap 1920 gune 1080 ya usse jada resolution le sakte hai, dosto thodi see dur par apko stabilisation jisko aap on kar de, isse apka video stabilise ho jayega, iske sath hi yaha se aap focus kar sakte hai aur max wali button se aap cinematic short nikalne ke liye zoom in aur zoom out kar sakte hai professional camera ke jaise, doston isme real time me luts ka use kar ke ham pata kar sakte hai hamari editing ke baad video kaisi dikhegi, kul mila kar kafi professional leval ka camera hai aur 4k resolution tak results hame mil jate hai bina leg ke so ap iska use kar sakte hai apne video shoot ke liye,

DOWNLOAD

Photoshop camera –

dosto halhi me Adobe company ne ek camera application launch kiya hai photoshop camera nam se vaise application utna khas to nhi hai han lekin isme kuch lens diye hai jo real time yani photo capture karte time hi apply kar sakte hai jisse hame baad me editing ki jarurat nhi padegi aur ham in lenss ko lightroom presets ke jaise use kar sakte hai ye application apko play store par easily mil jayegi aur iske sabhi lens free hai so lens library me jaa kar aap different different lens ko download kar ke use kar sakte hai aur apni photo ko aur better bana sakte hai, khir application me jada kuch batane jaisa nhi hai to ham chalte hai tisri aur last camera app ki taraf.

DOWNLOAD

Filmic pro –

Next application hai hamari filmic pro vaise ap me se bahut se log iss application ke bare me pahle se bhi jante honge ye ek professional camera application hai aur mcpro26 fps ke baad one of the best application hai, ek jawane me mera favourite hua karta tha yakeen maniye maine iss application ka bahut time tak use kiya hai, application ki khas baat ye hai ki ham isme professional tarike se work kar sakte like iso shutter speed, focus vaigira sabhi manually set kar sakte, isme exposure aur focus set karne ke do alg alg circle mil jate hai jisko ham apne hisab se subject par rakh kar set kar sakte hai iske sath hi yaha iss tarah se bhi iso aur shutter speed set karne ka option bhi mil jata hai sath hi application me white balance bhi fix karne ka option diya hai aur iske pro version me real time me luts vaigira bhi apply kar ke dekh sakte hai, yaha apko stabilization ka option bhi diya gya hai jisse ap apni video ko Stabiliz kr sakte hai, vaise sach kahu to iske free version me jada kuch khas nhi diya hai han lekin pro version ap agar kharid sakte hai to ye camera apki mobile photography me char chand laga sakta hai, agar ap iska ful video detail me chahte hai to comment kare me pro version apko dene ke sath sath isko kaise use karna hai sab chije batane ki kosis kruga par han 10 hajar like hone ke baad hi me iss topic par video lauga so like kare channel par naye hai to subscribe kar ke bell icon press kare me milta hu next video me apna khayal rakhe dhanyvad

DOWNLOAD

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please disable ads blocker 😊